• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Sard Rishton Ki Barf Pighli Hai

Sard Rishton Ki Barf Pighli Hai

puja-bhatia

sard rishton ki barf pighli hai

dhuup muddat ke baad nikli hai

niind ankhon se ye churaegi

gasht par yaad phir se nikli hai

har nai lahr men naya paani

vo jo pichhli thi ab vo agli hai

rang vo hi bharegi donon men

apni yadon ki vo jo titli hai

phuut paani men pad gai hai kya

lahr dariya banane nikli hai

mere jiine ko bas ye hai kaafi

tu hai barish hai aur titli hai

be-khayali men gir padi hogi

vo nahin janti vo bijli hai

chand ko chug gaya tha ik panchhi

chandni phir kahan se nikli hai

vajh tum hi the mere jiine ki

vajh ab bhi kahan ye badli hai

udti hai gham liye paron par jo

kaisi khush-rang si vo titli hai

tujh se tasvir teri achchhi hai

baad muddat bhi vo na badli hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Main Kuchh Dinon Mein Use chhoD Jaane Wala Tha

Rahzan Rahon Mein Apne Jal Phailate Rahe

zaKHm Ke honT Par Luab Us Ka

zaKHmi Hun Tere Nawak-E-Duz-Dida-Nazar Se

poet

Jaan-Ba-Lab Hasrat-O-Arman Pe Rona Aaya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet