sarab-e-sahra men paani talash karta hai
vo daldalon men ravani talash karta hai
har ek zarre se pahchan rab ki hoti hai
vo phir bhi us ki nishani talash karta hai
use yaqin hai apne ḳhuda ki rahmat par
jo tapte sahra men paani talash karta hai
kitab-e-dil ko samajhna muhal hai us ka
vo chehra chehra ma.ani talash karta hai
na.e ghamon ke andheron se jang hai us ki
bujhe diyon ki javani talash karta hai
hon raaja rani, hon lashkar, hon hathi ghoḌe sab
vo har kahani men naani talash karta hai
bahut sharif hai to ‘chand’ ja ke sansad men
‘kabir-das’ ki vaani talash karta hai
Leave a Reply