sar pe suraj ho magar saaya na ho aisa na tha
pahle bhi tanha tha lekin is qadar tanha na tha
vo to ye kahiye gham-e-dauran ne rakh li aabru
varna dil ki baat thi kuchh khel bachchon ka na tha
bach ke tufan se nikal aaya to hairani hai kyuun
go safina Dubta tha hausla TuuTa na tha
aap aa.e to yaqin karna paḌa varna yahan
raat ko suraj kabhi aflak par nikla na tha
shahr-e-dilli a.ina-ḳhana hai lekin ai ‘ata’
jaal to ḳhush-fahmiyon ka aap ko bunna na tha
Leave a Reply