• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Sar Ko Aawaz Se Wahshat Hi Sahi

Sar Ko Aawaz Se Wahshat Hi Sahi

aamir-suhail

sar ko avaz se vahshat hi sahi

aur vahshat men aziyyat hi sahi

khak-zadi tire ushshaq bahut

main tiri yaad se gharat hi sahi

vo kahan hain ki jo maslub na the

meri mitti men baghavat hi sahi

ah-o-ahang-o-ihanat ke kanar

ai miri pyaas pe tohmat hi sahi

khud se misaq ghalat tha mera

ai tire khvab zarurat hi sahi

ishq ai ishq azadar huun main

dosh pe bar-e-hazimat hi sahi

phir kisi khvab ki baiat kar len

phir kisi dukh ki tilavat hi sahi

ek khvahish ki jise sinch saken

raigani ki riyazat hi sahi

ham se kuchh aur to kya hona hai

ik tire gham ki hifazat hi sahi

lautte hain ki bulata hai koi

barish-e-sang-e-malamat hi sahi

tutte hain ki nasha tutta hai

khud se milne men aziyyat hi sahi

ab kisi aur ki khvahish hi kahan

ab tire hijr se fursat hi sahi

kaghzi shahr ude jaate hain vo

asmanon ki rifaqat hi sahi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

jaun-eliya

Ye Tere Khat Teri Khushbu Ye Tere Khwab-O-Khayal

ameer-minai

Sarakti Jae Hai Rukh Se Naqab Aahista Aahista

ismail-merathi

Kis Liye Parwana Khakistar Hua

poet

Shama Ke Tere Karishme Ne dil-Afrozi Ki

Mohabbat Karne Wale Kab Kisi Ka Nam Lete Hain

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet