sar-e-sahra musafir ko sitara yaad rahta hai
main chalta huun mujhe chehra tumhara yaad rahta hai
tumhara zarf hai tum ko mohabbat bhuul jaati hai
hamen to jis ne hans kar bhi pukara yaad rahta hai
mohabbat men jo duuba ho use sahil se kya lena
kise is bahr men ja kar kinara yaad rahta hai
bahut lahron ko pakda dubne vaale ke hathon ne
yahi bas ek dariya ka nazara yaad rahta hai
sadaen ek si yaksaniyat men duub jaati hain
zara sa mukhtalif jis ne pukara yaad rahta hai
main kis tezi se zinda huun main ye to bhuul jaata huun
nahin aana hai duniya men dobara yaad rahta hai
Leave a Reply