saaqi hai garche be-shumar sharab
nahin khush-tar sivae yaar sharab
qatl par kis ke aaj hoti hai
tausan-e-husn par savar sharab
rakh karam par tire nazar mujrim
nosh karte hain be-shumar sharab
un ko ankhen dikha de tuk saaqi
chahte hain jo baar baar sharab
ya ali hashr men do ‘chanda’ ko
ab-e-kausar ki khush-gavar sharab
Leave a Reply