sanvar jaa.e bhi to munh dekhne darpan nahin milta
gharibi ki kala.i men koi kangan nahin milta
baḌon ki ḳhvahishon ka bojh hai nanhe se kandhon par
hamare daur men bachchon ko ab bachpan nahin milta
main zid kar ke kabhi rota to aansu ponchh leti thi
abhi rota huun to shafqat-bhara daman nahin milta
kahin jhule nahin paḌte kabhi sarson nahin phuli
yahan pardes men aa kar mujhe savan nahin milta
siyasat ki dukanon se ḳhariden hain na.e chehre
sabhi rahbar banen phirte hain ik rahzan nahin milta
mire aslaf sa koi amanat-dar hai ‘sabir’
agar masraf ho zaati to diya raushan nahin milta
Leave a Reply