sanam kucha tira hai aur main huun
ye zindan-e-dagha hai aur main huun
yahi kahta hai jalva mere but ka
ki ik zat-e-khuda hai aur main huun
idhar aane men hai kis se tujhe sharm
faqat ik gham tira hai aur main huun
kare jo har qadam par ek naala
zamane men dira hai aur main huun
tiri divar se aati hai avaz
ki ik bal-e-huma hai aur main huun
na ho kuchh aarzu mujh ko khudaya
yahi har dam dua hai aur main huun
kiya darban ne sang-e-astana
dar-e-daulat-sara hai aur main huun
gaya vo chhod kar raste men mujh ko
ab us ka naqsh-e-pa hai aur main huun
zamane ke sitam se roz ‘nasikh’
nai ik karbala hai aur main huun
Leave a Reply