samundar dasht par but kaTti hai
musibat ko musibat kaTti hai
chhupa.un sar to khul jaata hai paanv
zarurat ko zarurat kaTti hai
zamin karti hai baten asman se
yahan har shai ki qimat kaTti hai
maza fōt-path ka puchho na yaaro
imarat ki mujhe chhat kaTti hai
faqiri men hai itna lutf yaaro
ki mujh ko badshahat kaTti hai
ghanimat janiye jangal men basna
hamen ab adamiyat kaTti hai
buzurgon ka kaha kab mante hain
ki bachchon ko nasihat kaTti hai
badan men chubhti hain nazron ki kirchen
use logon ki niyyat kaTti hai
hua huun is qadar badnam ‘saifi’
mujhe ab meri shohrat kaTti hai
Leave a Reply