samjhaen kis tarah dil-e-na-karda-kar ko
ye dosti samajhta hai dushman ke pyaar ko
nikla chamak ke mohr-e-qayamat bhi aur ham
baithe rahe chhupae dil daghdar ko
saaqi na mai na jaam na miina na mai-kada
aamad bahar ki ho mubarak bahar ko
kya kya bigad men bhi adaen hain dil-fareb
kitne banav aate hain gesu-e-yar ko
naseh ka imtihan ‘mubarak’ ho ek din
thodi pila ke dekhiye us hoshiyar ko
Leave a Reply