tu ḳhafa mujh se hua kya baa.is
jurm kya mujh se hua kya baa.is
kis liye dushman-e-jan hai tu gunah
kaun-sa mujh se hua kya baa.is
kyon dil-azar hai tu koi qusur
dil se ya mujh se hua kya baa.is
bas main us but ke jo Daala hai gunah
kya ḳhuda mujh se hua kya baa.is
kya jihat kya hai sabab kya maujib
tu juda mujh se hua kya baa.is
aaj vo lo.bat-e-chin chin-ba-jabin
be-ḳhata mujh se hua kya baa.is
raat ‘be-sabr’ vo barham nahaq
na-rava mujh se hua kya baa.is
Leave a Reply