na dil apna na gham apna na koi gham-gusar apna
ham apna jante har chiiz ko hota jo yaar apna
jame kis tarah is hairat-kade men e’tibar apna
na dil apna na jaan apni na ham apne na yaar apna
haqiqat men hamin ko jab nahin khud e’tibar apna
ghalat samjhi agar samjhi hai tan ko jan-e-zar apna
kahin hai daam arman ka kahin daane ummidon ke
ajal karti hai kis kis ghaat se ham ko shikar apna
ilahi khair ho ab ke bahar-e-bagh ne phir bhi
jamaya be-tarah bulbul ke dil par e’tibar apna
jo mai ko dhaal bhi len ham to saaqi ke ishare par
nahin is ke alava mai-kade men ikhtiyar apna
agar qasid haqiqat men payam-e-vasl laaya hai
to kyuun aansu bhare munh dekhta hai gham-gusar apna
zarurat kya kisi ko is taraf ho kar guzarne ki
alag ai bekasi basti se hai koson mazar apna
maaaz allah furqat ki hain raten qabr ki raten
abhi se yaan hua jaata hai sun sun kar fishar apna
gulon ki surkh rangat jism men lauke lagati hai
dikhati hai tamasha kis ki ankhon ko bahar apna
khatar kya kashti-e-mai ko bhala mauj-e-havadis ka
na beda paar ho kyunkar ki khud saaqi hai yaar apna
chhupa lega kisi din arsh tak ko apne daman men
dikha dega tamasha phail kar musht-e-ghubar apna
khabar kya ghaib ki gham-khvar ko aur yaan ye aalam hai
kaha jaata nahin apni zaban se hal-e-zar apna
nahin karta gavara rah-rau ke dil pe mail aana
uda karta hai raste se alag hat kar ghubar apna
dam aaya naak men fariyadiyon ke shor o ghaugha se
qayamat men abas kyuun khinch laaya intishar apna
ham ik mehman hain ham se dosti karne ka hasil kya
nahin kuchh is jahan men ai shab-e-gham e’tibar apna
kuchh aisa kar ki khuld abad tak ai ‘shad’ ja pahunchen
abhi tak raah men vo kar rahe hain intizar apna
Leave a Reply