samajh rahe the ki ab asman barsega
ye soch kab thi ki vo mehrban barsega
vo vaqt duur nahin jab zamin valon par
makan TuTega aur la-makan barsega
tumhare zulm ki andhi men sar uThate hue
tumhare sar pe har ik be-zaban barsega
guman kahta hai mera ki ek din mujh par
tiri vafa tiri chahat ka maan barsega
kisi ki aas men tanha jo diip jalta hai
use bujhane ko ik imtihan barsega
Leave a Reply