hamen kis haath ki mahbub rekhaon men rahna tha
kis dil men utarna tha
chamakna tha kin ankhon men
kahan par phuul banna tha
to kab khushbu ki surat ku-e-janan se guzarna tha
samajh men kuchh nahin aata
hamen kis qarya-e-ab-o-hava ke sang rahna tha
kahan shamen guzarni thiin
kahan mahtab raton men kisi ko yaad karna tha
kisi ko bhuul jaana tha
kahan par subh ka aghaz karna tha kahan suraj nikalna tha
safar ke dasht men tanha thake-hare musafir ko
kahan khema lagana tha
kahan dariya men kashti dalna thi aur kis sahil utarna tha
samajh men kuchh nahin aata
hamen kis qarya-e-ab-o-hava ke sang rahna tha
Leave a Reply