salib-e-dard pe vaara gaya tha kyuun mujh ko
gham-e-firaq se maara gaya tha kyuun mujh ko
kisi ḳhayal kisi ḳhvab ke jazire par
tamam umr guzara gaya tha kyuun mujh ko
palaT raha tha dar-e-ḳhvab se jo ḳhali haath
to baar baar pukara gaya tha kyuun mujh ko
kaf-e-guman se jo girna tha umr bhar ke liye
to ek pal ko saraha gaya tha kyuun mujh ko
agar nahin tha yahan koi muntazir mera
to phir falak se utara gaya tha kyuun mujh ko
kisi ne meri taraf dekhna na tha ‘ḳhurshid’
to be-sabab hi sanvara gaya tha kyuun mujh ko
Leave a Reply