salamti ki dua ka samar bana hua hai
tumhare baagh ka pauda shajar bana hua hai
vo jis ke vaste phulon ka ehtimam hua
faza-e-dil se vahi be-ḳhabar bana hua hai
mile jo koi mujhe dil churane lag jaa.e
tamam shahar tira jadugar bana hua hai
ajiib baat hai dil bhi vahin pe TuuTe hain
har ek shaḳhs jahan karigar bana hua hai
kahin pe mas.ala fōtpath par tajavuz ka
kahin pe mas.ala divar-o-dar bana hua hai
sukun kyuun nahin karte thake hue manzar
tumhari aankh men bistar agar bana hua hai
Leave a Reply