sakht-jani ka sahi afsana hai
shahid-e-tegh-e-zaban dandana hai
maqtal-e-alam mira virana hai
dida-e-bismil charagh-e-khana hai
sham-e-raushan ariz-e-janana hai
khal-e-mushkin shama ka parvana hai
dil men aks-e-chehra-e-janana hai
aaine ka aaine men khana hai
kaun duniya men rahe divana hai
ek ujda sa musafir khana hai
teri mahfil kaaba hai ai shama-ru
taer-e-qibla-numa parvana hai
ankhen malta huun tumhari zulf se
panja-e-mizhgan ba-rang-e-shana hai
shama-ruon ki tajalli dekhiye
kirmak-e-shab-tab har parvana hai
ab-e-khanjar kya sharab-e-nab thi
raqs-e-bismil laghzish-e-mastana hai
khalq-e-alam ko pahunchta hai gazand
nafs-e-ammara sag-e-divana hai
bada-noshan-e-azal hain ser-chashm
jis taraf dekhen udhar mai-khana hai
abr aata hai to bikti hai sharab
naqd-e-rahmat hasil-e-mai-khana hai
ek tere naam ka karta huun zikr
mujh ko vird-e-subha-e-yak-dana hai
khate hain angur piite hain sharab
bas yahi maston ka ab-o-dana hai
kis taraf karte ho sajde zahido
kaaba ek ujda hua but-khana hai
chashm-e-musa ke hon parde kaan men
lan-tarani ka bayan afsana hai
thande thande sote hain zer-e-zamin
gor apne vaste tah-khana hai
kya bane sauda tira ai khud-farosh
mol jo ham ne kaha baiana hai
dekhte hain but miri betabiyan
sar bahakna sajda-e-shukrana hai
kya tira aina-e-ru saaf hai
naqd-e-jan leta yahan jurmana hai
garm naale sard hain ai ham-safir
zahiran kunj-e-qafas khas-khana hai
ki mai-e-muft aaj qaazi ne halal
fi-sabilillah har mai-khana hai
ikhtilat apne anasir men nahin
jo hai mere jism men begana hai
kya samundar ko dikhaen garmiyan
dozakh apna ek atiash-khana hai
ho gae misl-e-sulaiman ahl-e-ishq
ai pari kya himmat-e-mardana hai
dil hai aina to askandar huun main
husn ki daulat mira nazrana hai
arsh tak gardun se dekha ai sanam
saat ziine ka ye bala-khana hai
khel jaate hain hazaron jaan par
ishq-bazi bazi-e-tiflana hai
jaan deta huun magar aati nahin
maut ko bhi naz-e-maashuqana hai
paate hain naqd-e-zar-e-gul be-hisab
bagh-e-alam us ka daulat-khana hai
aaj hai mahv-e-shana vo shama-ru
har par-e-mahi par-e-parvana hai
dil kahan ye nafs-e-ammara kahan
aaina pesh sag-e-divana hai
iffat-e-mashshata kis se ho bayan
panja-e-maryam tumhara shana hai
mai-kade ke kaam dil se lijiye
khum ka khum paimana ka paimana hai
lucknow ka mujh ko sauda hai ‘munir’
dil husain-abad par divana hai
Leave a Reply