• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Main Sab Kuchh an-Dekha Karne Lagta Hun

Main Sab Kuchh an-Dekha Karne Lagta Hun

main sab kuchh an-dekha karne lagta huun

jab bhi us ka pichha karne lagta huun

ḳhud ke shane pe hi rakh deta huun sar

aise dil ko halka karne lagta huun

ḳhamoshi jab zahir hone lagti hai

tab main shor-sharaba karne lagta huun

naqsh-e-dast mila hai aur na naqsh-e-pa

kin rahon ka pichha karne lagta huun

vaj.h-e-hijr-e-yar ye duniya ho jaise

jis se dekho jhagḌa karne lagta huun

socha tha ki ishq nahin karna hai ab

aur pahle se ziyada karne lagta huun

ammi sukhi roTi yaad dilati hai

jab main paisa paisa karne lagta huun

jhagḌa to shiddat se kar leta huun phir

pachhtave men girya karne lagta huun

khol hi leta huun yadon ka album main

aur phir rona-dhona karne lagta huun

sar se dast-o-pa ka kaam liya main ne

main divana kya kya karne lagta huun

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Safar Ka Lutf Musalsal Safar Ke Baad Aaya

abbas-qamar

Hum Aise Sar-Phire duniya Ko Kab darkar Hote Hain

poet

Apni Qismat Mein Agar Aish Ke Saman Hote

In ghaTaon Mein Ujale Ka Basera Hi Sahi

aalok-shrivastav

Har Bar Hua Hai Jo Wahi To Nahin Hoga

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet