• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Sajdon Ki Rasm-E-Kohan Ko Hosh Ganwa Ke Bhul Ja

Sajdon Ki Rasm-E-Kohan Ko Hosh Ganwa Ke Bhul Ja

sajdon ki rasm-e-kohan ko hosh ganva ke bhuul ja

sang-e-dar-e-habib par sar ko jhuka ke bhuul ja

ishq ko barqarar rakh dil ko laga ke bhuul ja

is se bhi mutma.in na ho us ko bhi pa ke bhuul ja

dil se taḌap juda na kar saaz ko be-sada na kar

dard jo ho fughan talab honTh hila ke bhuul ja

dard uThe uTha kare choT lage laga kare

kuchh bhi ho tu ba-nam-e-dost hans ke hansa ke bhuul ja

jam-ba-dast-o-mai-ba-jam yuun hi guzar sub.h-o-sham

ziist ki talḳhiyan mudam pi ke pila ke bhuul ja

manzil-e-ishq se guzar be-ḳhud-o-mast-o-be-ḳhabar

choT lage to uf na kar dil ko daba ke bhuul ja

guzre hue zamane ko yaad na kar kabhi ‘ḳhumar’

aur jo yaad aa hi jaa.e ashk baha ke bhuul ja

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Rang-E-Ghazal Mein Dil Ka Lahu Bhi Shamil Ho

parveen-fana-syed

Kahan Ja Rahi Ho?

poet

Dekha Jo Kuchh Jahan Mein Koi Dam Ye Sab Nahin

ismail-merathi

Aariz-E-Raushan Pe Jab Zulfen Pareshan Ho Gain

ahmad-khayal

dasht Mein Wadi-e-Shadab Ko Chhu Kar Aaya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet