sahabo manzil-e-janan ki taraf jaana mat
aur jaana to kahani koi dohrana mat
gul khila dega mahakte hue chehron ka tilism
shahar-e-a.ina dil-e-zar ko dikhlana mat
mujh ko chaha hai to baḳhsho miri chahat ko davam
ban ke rah jaana Dhali raat ka afsana mat
vasl ki chaah men rukna na kisi jism ke paas
daulat-e-hijr ko sauda.iyo Thukrana mat
sar-burida si guzar jaana shahidon ki tarah
titliyo dil ke dabistan men Thahar jaana mat
ulfaten sab ko mayassar nahin hotin pyare
tishna lamhon ki mulaqat se uktana mat
maqtal-e-ishq na ab kucha-e-qatil ‘rahi’
shahr-e-be-ḳhvab men jaate hue ghabrana mat
Leave a Reply