sahare jane-pahchane bana luun
sutunon par tire shane bana luun
ijazat ho to apni sha.eri se
tire do chaar divane bana luun
tira saaya paḌa tha jis jagah par
main us ke niche tah-ḳhane bana luun
tire moze yahin par rah ga.e hain
main in se apne dastane bana luun
abhi ḳhali na kar ḳhud ko Thahar ja
main apni ruuh men ḳhane bana luun
Leave a Reply