
Syed Kashif Raza
sag-e-jamal huun gardan se bandh kar le ja
jamal-e-yar mujhe aaj sair par le ja
tere labon ka tabassum bhi to raha huun kabhi
bana huun ashk to palkon pe Taank kar le ja
sameT kar mujhe rakh le ki tera dard huun main
tira hi aib huun mujh ko chhupa ke ghar le ja
khuba hua hai tira husn meri ankhon men
nikal kar miri ankhon se neshtar le ja
main sang-dil huun to ik roz ḳhana-e-dil men
lage hue hain jo patthar ukhaḌ kar le ja
bichhaḌ raha hai to apni nishaniyan bhi sameT
ab apne saath hi ye ku-e-bam-o-dar le ja

Leave a Reply