safina rakhta huun darkar ik samundar hai
hava.en kahti hain us paar ik samundar hai
main ek lahr huun apne makan men aur phir
hujum-e-kucha-o-bazar ik samundar hai
ye mera dil hai mira a.ina hai shahzadi
aur a.ine men giraftar ik samundar hai
kahan vo pairahan-e-surḳh aur kahan vo badan
ki aks-e-mah se bedar ik samundar hai
ye intiha-e-masarrat ka shahr hai ‘sarvat’
yahan to har dar-o-divar ik samundar hai
Leave a Reply