safar pe yuun musir huun main ki hauslon men jaan hai
jo luT chuka yaqin tha jo bach gaya guman hai
zamin ki kashish ka jaal toḌ kar nikal ga.iin
magar ye tai hai chiyunTiyon ki aḳhiri uḌaan hai
lahu ke naam likh diye hain tiir abr-o-bad ke
zamin hadaf bani hui hai asman kaman hai
vahi jo aadhi raat ko charagh ban ke jal uTha
kisi ki yaad ka nahin vo zaḳhm ka nishan hai
mufahamat ke dev ka asiir ho gaya ‘nizam’
meri ana ka vo parind jis men meri jaan hai
Leave a Reply