Gham-E-Dil ruKH Se Ayan Ho Ye Zaruri to Nahin

ġham-e-dil ruḳh se ayaañ ho ye zarūrī to nahīñ

ishq rusvā-e-jahāñ ho ye zarūrī to nahīñ

lab pe har-vaqt fuġhāñ ho ye zarūrī to nahīñ

ham-navā dil kī zabāñ ho ye zarūrī to nahīñ

jān-e-tanhā pe guzar jaa.eñ hazāroñ sadme

aañkh se ashk ravāñ ho ye zarūrī to nahīñ

mil hī jā.egī kahīñ DhūñDhne vaale ko bahār

har gulistāñ meñ ḳhizāñ ho ye zarūrī to nahīñ

ham jise apnī zabāñ se bhī na kahne paa.eñ

vo mohabbat kā bayāñ ho ye zarūrī to nahīñ

un kī āñkhoñ meñ chhalak aa.e haiñ aañsū jis se

vo mire dil kā dhuāñ ho ye zarūrī to nahīñ

zabt bhī hotā hai andāz-e-junūñ meñ shāmil

aarzū shola-ba-jāñ ho ye zarūrī to nahīñ

ārzūoñ kī bhī ik bhiiḌ hai shahr-e-dil meñ

hasratoñ kā hī nishāñ ho ye zarūrī to nahīñ

soch kar vādī-e-ulfat meñ qadam rakh ‘sāhir’

sirf dil hī kā ziyāñ ho ye zarūrī to nahīñ

Leave a Comment