safar ke baad bhi zauq-e-safar na rah jaae
khayal-o-khvab men ab ke bhi ghar na rah jaae
main sochta huun bahut zindagi ke baare men
ye zindagi bhi mujhe soch kar na rah jaae
bas ek khauf men hoti hai har sahar meri
nishan-e-khvab kahin aankh par na rah jaae
ye be-hisi to miri zid thi mere ajza se
ki mujh men apne taaqub ka dar na rah jaae
hava-e-sham tira raqs na-guzir sahi
ye meri khaak tire jism par na rah jaae
usi ki shakl liya chahti hai khaak miri
so shahr-e-jan men koi kuza-gar na rah jaae
guzar gaya ho agar qafila to dekh aao
pas-e-ghubar kisi ki nazar na rah jaae
main ek or khada huun hisar-e-duniya ke
vo jis ki zid men khada huun udhar na rah jaae
Leave a Reply