• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Masrufiyat Usi Ki Hai Fursat Usi Ki Hai

Masrufiyat Usi Ki Hai Fursat Usi Ki Hai

rehana-roohi

masrufiyat usi ki hai fursat usi ki hai

is sarzamin-e-dil pe hukumat usi ki hai

milta hai vo bhi tark-e-taalluq ke bavajud

main kya karun ki mujh ko bhi aadat usi ki hai

jo umr us ke saath guzari usi ki thi

baaqi jo bach gai hai masafat usi ki hai

hota hai har kisi pe usi ka guman mujhe

lagta hai har kisi men shabahat usi ki hai

likkhun to us ke ishq ko likhna hai shairi

sochun to ye sukhan bhi inayat usi ki hai

dar-e-astan koi ho ba-zahir sar-e-sujud

lekin pas-e-sujud ibadat usi ki hai

vo jis ke haq men jhuti gavahi bhi main ne di

‘ruhi’ mire khilaf shahadat usi ki hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Husn-E-Lachaar Ki Baaten Karen Kya

humaira-rahman

Log To Ek Manzar Hain Takht-Nashinon Ki Khatir

poet

Yaadon Ka Koi dip Jalae To Baat Hai

poet

Waiz Piye Hue Hun Khuda Ke Liye Na Chhed

Kisi Bahane Bhi Dil Se Alam Nahin Jata

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet