safar bhi jabr hai na-char karna paḌta hai
adu ko qafila-salar karna paḌta hai
gale men Dalni paḌti hain dhajjiyan apni
aur apni dhuul ko dastar karna paḌta hai
banana paḌta hai sochon men ik mahal aur phir
ḳhud apne haath se mismar karna paḌta hai
na-jane kaun si majburiyan hain jin ke liye
ḳhud apni zaat se inkar karna paḌta hai
koi bhi mas.ala phir mas.ala nahin rahta
zara zamir ko bedar karna paḌta hai
banana paḌta hai apne badan ko chhat apni
aur apne saa.e ko divar karna paḌta hai
hamari gardanen mashrut hain so in ke liye
saron ko ḳham sar-e-darbar karna paḌta hai
Leave a Reply