saaf kahte ho magar kuchh nahin khulta kahna
baat kahna bhi tumhara hai muamma kahna
ro ke us shokh se qasid mira rona kahna
hans pade us pe to phir harf-e-tamanna kahna
masal-e-maktub na kahne men hai kya kya kahna
na miri tarz-e-khamoshi na kisi ka kahna
aur thodi si shab-e-vasl badha de ya-rab
subh nazdik hamen un se hai kya kya kahna
phaad khata hai jo ghairon ko jhapat kar sag-e-yar
main ye kahta huun mire sher tira kya kahna
har bun-e-mu-e-mizha men hain yahan sau tufan
ain ghaflat hai mari aankh ko dariya kahna
vasf-e-rukh men jo sune sher vo hans kar bole
sher hain nuur ke hai nuur ka tera kahna
la sakoge na zara jalva-e-didar ki taab
arini munh se na ai hazrat-e-musa kahna
kar liya ahd kabhi kuchh na kahenge munh se
ab agar sach bhi kahen tum hamen jhuta kahna
khaak men zid se milao na mire aansu ko
sachche moti ko munasib nahin jhuta kahna
kaise nadan hain jo achchhon ko bura kahte hain
ho bura bhi to use chahiye achchha kahna
dam-e-akhir tu buto yaad khuda karne do
zindagi bhar to kiya main ne tumhara kahna
padhte hain dekh ke us but ko farishte bhi darud
marhaba salle-ala salle-ala kya kahna
ai buto tum jo ada aa ke karo masjid men
lab-e-mehrab kahe nam-e-khuda kya kahna
in hasinon ki jo tarif karo chidhte hain
sach to ye hai ki bura hai unhen achchha kahna
shauq kaabe liye jaata hai havas janib-e-dair
mere allah baja laun men kis ka kahna
saari mahfil ko isharon men luta do ai jaan
siikh lo chashm-e-sukhan-go se latifa kahna
ghatte ghatte men raha ishq-e-kamar men aadha
jama-e-tan ko mire chahiye niima kahna
men to ankhon se baja laata huun irshad-e-huzur
aap sunte nahin kanon se bhi mera kahna
chusti-e-taba se ustad ka hai qaul ‘amir’
ho zamin sust magar chahiye achchha kahna
Leave a Reply