kisi saae ka naqsh gahra nahin hai
har ik saaya ik aankh hai
jis men ishrat-kadon na-rasa khvahishon
an-kahi dil-nashin dastanon ka mela laga hai
magar aankh ka sehr palkon ki chilman ki halki si jumbish hai
aur kuchh nahin hai
kisi aankh ka sehr daaim nahin hai
har ik saaya
chalti hava ka pur-asrar jhonka hai
jo duur ki baat se
dil ko bechain kar ke chala jaega
har koi janta hai
havaon ki baten kabhi der tak rahne vaali nahin hain
kisi aankh ka sehr daaim nahin hai
kisi saae ka naqsh gahra nahin hai
Leave a Reply