sadaqaton ko ye zid hai zaban talash karun
jo shai kahin na mile main kahan talash karun
miri havas ke muqabil ye shahr chhoTe hain
ḳhala men ja ke na.i bastiyan talash karun
aziyyaton ki bhi apni hi ek lazzat hai
main shahr shahr phirun nekiyan talash karun
makan-fareb ḳhushamad ma.ash samjhaute
bara.e kashti-e-jan badban talash karun
to kab talak yunhi suraj tale rahegi dhuup
tire liye bhi koi sa.eban talash karun
guhar-qnasib sadaf ka to zikr kya ‘anjum’
main sahilon ke liye sipiyan talash karun
Leave a Reply