sach ke iz.har ka sheron ko bahana jaana
bach rahe yuun ki zamane ne fasana jaana
saḳht ma.atub rahe aur ḳhata itni thi
jo ḳhuda na tha use ham ne ḳhuda na jaana
is qadar bhi na jari the ki ulajhte sab se
shor-e-shab-ḳhun ko magar bang-e-dara na jaana
ab ke ilzam laga ham pe khuli ankhon ka
jo nazar aaya use us se siva na jaana
kam hi milte ho magar ye hai yaqin ka aalam
ham ne pal-bhar ko tumhen ḳhud se juda na jaana
main vo na-shukr ki har baar mulaqat ke ba.ad
main ne har lamha-e-furqat ko zamana jaana
rahm khate hain hain mire haal pe ahl-e-duniya
main ne iman ko duniya men ḳhazana jaana
Leave a Reply