sabz mausam ki rifaqat us ka karobar hai
peḌ kab sukhe hue patton ka hisse-dar hai
phir mahajan baanT lenge apni saari khetiyan
qarz ki faslon pe jiina kis qadar dushvar hai
ehtiyat-o-ḳhauf vaale Dubte hain beshtar
jin ko hai ḳhud par bharosa vo nadi ke paar hai
mutma.in baiThe ho tum ne ye bhi socha hai kabhi
jis ka saaya sar pe hai vo ret ki divar hai
aag ka lashkar hai saf bandhe hamare samne
kya karen ham haath men to mom ki talvar hai
pattharon ko shahar ke rahti hai mauqa.a ki talash
kanch ke paikar men rahna kis qadar dushvar hai
Leave a Reply