sabhon se yuun to hai dil aap ka ḳhush
agar puchho to hai ham se hi na-ḳhush
ḳhushi teri hi hai manzur ham ko
bala se gar koi na-ḳhush ho ya ḳhush
ravaq-e-chashm o qasr-e-dil kiya sair
na ki par aap ne yaan koi ja ḳhush
jafa kar ya vafa muḳhtar hai tu
mujhe yaksan hai kya na-ḳhush hai kya ḳhush
nahin us men to ghair-az-jaur lekin
mujhe kya jaane kya aa.i ada ḳhush
kiya hai garche na-ḳhush tu ne ham ko
rakhe par ai butan tum ko ḳhuda ḳhush
ḳhushi hai sab ko roz-e-id ki yaan
hue hain mil ke baham ashna ḳhush
bhala kuchh bhi munasib hai miri jaan
ki ho tu aaj ke din mujh se na-ḳhush
bata aisi koi tadbir ‘bedar’
ki jis se hove mera dilruba ḳhush
Leave a Reply