sabhi andhere sameTe hue paḌe rahna
charagh-e-rah-guzar is tarah bane rahna
ye ḳhvahishon ka samundar sarab jaisa hai
sabhi ka apne ta.aqub men bhagte rahna
na.i bahar ki ḳhushiyan nasib hon lekin
nishaniyan ga.e mausam ki bhi rakhe rahna
udaas chehre koi bhi nahin paḌha karta
numa.ishon ki tarah aap bhi saje rahna
main itni bhiiḌ men ik roz kho bhi sakta huun
kasi jagah to mira naam bhi likhe rahna
ai zindagi mire dukh-sukh kahan ye chhoḌ aa.i
vo lamha lamha bikharna vo rat-jage rahna
‘ra.is’ kaun sa aaseb hai makanon men
tamam shahr ye kahta hai jagte rahna
Leave a Reply