sab the manzur-e-nazar ek main rusva tha faqat
the tamasha.i sabhi main hi tamasha tha faqat
samne hadd-e-nazar tak mire sahra tha faqat
aur ye nazzara hi jiine ka sahara tha faqat
us ki daulat ki tamanna miri dushman nikli
mere qabze men mohabbat ka ḳhazana tha faqat
aisa mahsus hua jaise ki tu aaya tha
dar-haqiqat tire saa.e ka bhi saaya tha faqat
main ye samjha tha hain aflak miri muTThi men
qabr boli ki tu ik ḳhaak ka putla tha faqat
rutba saaqi ka tha tere hi to dam se ‘javed’
ek tu hi to bhari bazm men pyasa tha faqat
Leave a Reply