haare hue logon ki kahani ki tarah hain
ham log bhi bahte hue paani ki tarah hain
duniya tire hone ka yaqin kyuun nahin karti
ham bhi to yahan teri nishani ki tarah hain
chupke se guzarte hain ḳhabar bhi nahin hoti
din raat bhi kam-baḳht javani ki tarah hain
gar naam kamana hai tumhen itna samajh lo
aansu bhi mohabbat ki nishani ki tarah hain
is baar hai hona bhi na hone ke barabar
is baar to ham jaise kahani ki tarah hain
Leave a Reply