sab ko hi us dar par taala dikhta tha
mujh ko koi dauḌ ke aata dikhta tha
karte the vo dua.en andhe hone ki
pyason ko zindan se dariya dikhta tha
vo tha ek kaniz ke kamre ka darpan
us men dekhne vaala rota dikhta tha
main ne un ankhon men duniya dekhi thi
aur duniya ko jaane kya kya dikhta tha
uḌta tha ji bhar ke savera hote hi
ik panchhi ko ḳhvab men pinjra dikhta tha
lauTi thi vo ek vaDere ke ghar se
us ko har jhule men phanda dikhta tha
kuchh ko dariya buund ke jaisa tha ‘yasir’
kuchh ko bas ik buund men dariya dikhta tha
Leave a Reply