rut badalti hai badalta nahin manzar sa.in
ab kahan jaa.e bata tera qalandar sa.in
ik mire naam nahin teri saḳhavat varna
jagmagata hai karishma tira dar dar sa.in
shahr ka shahr hua jaata hai kaise sairab
kaun aaya hai yahan le ke samundar sa.in
ab to mahsus ye hota hai ki manzil hai qarib
rasta aisa nahin hota munavvar sa.in
koi kuchh bhi na kahe shahar-e-adavat hi sahi
ham to abad hue hain yahan luT kar sa.in
sha.iri jis ke liye ki vo sira hai to hai baat
laakh duniya mujhe kahti hai suḳhnavar sa.in
phir kisi roz tamanna ke qadam chumunga
aaj to jaane diya jaa.e mujhe ghar sa.in
karbala hai to yahan sar ki bhi qimat hogi
kuchh to in.aam rahega mire sar par sa.in
Leave a Reply