ruuh ke zaḳhm ko lazim hai nihan ho jaana
ghair-mumkin hai us ik shai ka bayan ho jaana
ḳhuun de kar bhi unhen kaise bachaya jaata
jin charaghon ka muqaddar tha dhuan ho jaana
dekhta rah gaya virana-e-hasti men koi
apne zaḳhmon ka baharan ki zaban ho jaana
chalna paḌta hai har ik raah men ik umr ‘taraz’
itna asan nahin manzil ka nishan ho jaana
Leave a Reply