ru-ba-ru un ke koi harf ada kya karte
dard to ham ko chhupana tha sada kya karte
bevafa.i bhi vafa hi ki tarah ki us ne
aise insan se karte to gila kya karte
chhin ga.iin haath uThane se dua.en mahngi
hausla phir vo duaon ka bhala kya karte
kuchh to aate rahe ummid ke jhonke varna
itna shadab mujhe aab o hava kya karte
apne me.ayar se girna nahin aaya ham ko
apne kirdar ko ham is se siva kya karte
jab bhi aaya koi achchha hi ḳhayal aaya hai
‘ashk’ ham jaise zamane ka bura kya karte
Leave a Reply