roz murgha bana kare koi
kab tak aḳhir piTa kare koi
jab kahin naukri nahin milti
degrēyan le ke kya kare koi
mujh ko reading se saḳht nafrat hai
main sunun aur paḌha kare koi
jis men aati ho bu ta.assub ki
aisi tariḳh kya kare koi
jin men jang-o-jadal ke qisse hon
vo kutub kyon paḌha kare koi
ghair-mulki zaban english ko
ḳhva-maḳhvah kyon raTa kare koi
nahin ummid-e-kamyabi jab
imtihan de ke kya kare koi
ḳhuub insaf hai ki darje men
main piTun aur ḳhata kare koi
kab tak aḳhir baghair samjhe hue
formule raTa kare koi
‘kaif’ aata nahin javab-e-ḳhuda
ḳhat kahan tak likha kare koi
Leave a Reply