vo kisi se tum ko jo rabt tha tumhen yaad ho ki na yaad ho
vo kisi pe tha koi mubtila tumhen yaad ho ki na yaad ho
kabhi ham men tum men bhi pyaar tha tumhen yaad ho ki na yaad ho
kabhi ham bhi tum bhi the ek-ja tumhen yaad ho ki na yaad ho
vo banana chehra itaab ka vo na dena munh se javab ka
vo kisi ki minnat o iltija tumhen yaad ho ki na yaad ho
tumhen jis ki chaah pe naaz tha jo tumhara mahram-e-raz tha
main vahi huun ashiq-e-ba-vafa tumhen yaad ho ki na yaad ho
kabhi ham men tum men bhi saaz the kabhi ham bhi vaqf-e-niyaz the
hamen yaad tha so jata diya tumhen yaad ho ki na yaad ho
kabhi bolna vo khafa khafa kabhi baithna vo juda juda
vo zamana naaz o niyaz ka tumhen yaad ho ki na yaad ho
abhi thode din ka hai tazkira ki raqib kahte the barmala
mire aage tum ko bura-bhala tumhen yaad ho ki na yaad ho
kabhi hans ke munh ko chhupa liya kabhi muskura ke dikha diya
kabhi shokhiyan thiin kabhi haya tumhen yaad ho ki na yaad ho
jo bana hai arif-e-ba-khuda ye vahi ‘zahir’ hai be-haya
vo jo rind-e-khana-badosh tha tumhen yaad ho ki na yaad ho
Leave a Reply