roz ik shaḳhs chala jaata hai ḳhvahish karta
abhi aa ja.ega badal koi barish karta
ghar se nikla to jahan-zad ḳhuda itne the
main ana-zad bhi kis kis ki parastish karta
ham to har lafz men janan tiri tasvir hue
is tarah kaun sa a.ina sata.ish karta
kisi vahshat-zada aaseb ki manind huun main
ik makan men ka.i namon se riha.ish karta
ik na ik din to ye divar-e-qafas girni thi
main na karta to koi aur ye shorish karta
ab jo tasvir bana li to ye dhun aur lagi!
kabhi dekhun lab-e-tasvir ko jumbish karta
sab andhere men hain ik apne makan ki ḳhatir
kya havaon se charaghon ki sifarish karta
aur kya mujh se tiri kuza-gari chahti hai
main yahan tak to chala aaya huun gardish karta
in zaminon hi pe kya ḳhosha-e-gandum ke liye
asmanon se chala aaya huun sazish karta
Leave a Reply