rone ki ye shiddat hai ki ghabra gaiin ankhen
ashkon ki ye kasrat hai ki tang aa gaiin ankhen
dil sakht hi kafir ka par ankhon men haya hai
sunte hi jafa ka gila sharma gaiin ankhen
mehrab men hota nahin maston ka guzara
abru ke tale khuub jagah pa gaiin ankhen
vo talib-e-didar ke paas aaen magar kya
hairat ka ye aalam hai ki kuuba gaiin ankhen
farhad ne kya dekh ke sar teshe se phoda
sujha na kuchh is ru se ki tihra gaiin ankhen
dil de ke raha girya-e-khuni ka mujhe shaghl
baaqi tha jigar so use yuun kaha gaiin ankhen
chadhte nahin ab meri nazar men mah-o-khurshid
dekha tujhe kya main ne ki itra gaiin ankhen
aa kar tire kuche men na kuchh ham se ban aai
jaate hue ik munh tha ki barsa gaiin ankhen
itna bhi na samjhe ki bala-e-dil-o-din hai
‘nazim’ tumhen kyuun us ki pasand aa gaiin ankhen
Leave a Reply