rone kā salīqa mujhe aslāf ne baḳhshā
ye mātamī āñkheñ mujhe virse meñ milī haiñ
ye karb kī duniyā kā hai naqsha ise dekho
sab purkheñ hamārī isī shajre meñ milī haiñ
maiñ ghuur ke dekhūñ to burā māntā hai vo
kaise kahūñ ye talḳhiyāñ tarke meñ milī haiñ
ḳhvāboñ ne bhī marne kī hī Thānī hai bil-āḳhir
do chaar kī lāsheñ mire kamre meñ milī haiñ
TuuTe hue rastoñ pe tirā haath pakaḌ luuñ
ye ḳhvāhisheñ bas ishq ke badle meñ milī haiñ
jo laḌkiyāñ jiitī thiiñ mohabbat ke sahāre
do gaz kī hī qabreñ unheñ tohfe meñ milī haiñ