jo uzv-e-batin ḳhuda banata to ham dil-e-be-qarar hote
jo uzv-e-zahir ḳhuda banata to dida-e-ashk-bar hote
jo gard kar ke ḳhuda uḌata to uḌte gard-e-malal ho kar
jo sang kar ke ḳhuda jamata to jam ke lauh-e-mazar hote
ḳhuda jo shana hamen banata to ham ḳhalish hote apne dil ki
ḳhuda jo a.ina ham ko karta to apne hairan-kar hote
jo roz ham ko ḳhuda banata to bante roz-e-firaq-e-janan
jo raat ham ko ḳhuda banata to ham shab-e-intizar hote
gharaz ki aisa musibaton ka hamare dil ko maza paḌa hai
ki ‘qadr’ ham ko ḳhuda banata to ho ke be-qadr ḳhvar hote
Leave a Reply