akhir kaar mere dost
tum ne ankhon ki tajdid ka faisla kar hi daala
an-dekhe ki diid ijad karne ke liye
tum ne kaise daryaft kiya ki chizen
ek asiil nigah ke qabil nahin rahin
ye saari kaenat ek sapat tasvir hai
jis se utni jagah bhi nahin bhari ja sakti
jo tumhare canvas men khilqatan maujud hai
tum ne behtar jaana ki ankhon par se
kuchh parten utaar do
ta-ki vo dekh len kaise ijad kiya jaata hai
vo manzar jahan har shai nae sire se
mash.hur aur masnua aur maujud hai
Leave a Reply