rivaj-o-rasm na ghar-bar ke musafir hain
ham aur log hain us paar ke musafir hain
safar qadim se darpesh kaun sa hai hamen
na jaane kaun si divar ke musafir hain
na manzilon ka ta.ayyun na raston ki ḳhabar
ham aise log to be-kar ke musafir hain
na sar men Dar hai kahin ka na ḳhauf-e-jaur-o-sitam
azaab raas hain azar ke musafir hain
hain farsh-e-rah bala.en to ham-qadam aaseb
kisi jahan par asrar ke musafir hain
mile agar to bhare ḳhushbuen ḳhayalon men
ki dast-e-yar-e-tarah-dar ke musafir hain
bina-e-raḳht bina-e-safar tavakkul hai
madad na dast-e-madad-gar ke musafir hain
shumar-e-mauzua-e-fitrat men sar khapate hain
saron men dauḌte afkar ke musafir hain
vo dosti ho adavat ho kuchh bhi ho ‘tahir’
har ek chiiz men me.aar ke musafir hain
Leave a Reply