rishta-e-dil ko der-pa rakhna
is ta.alluq men fasla rakhna
saara aalam hua hai tang-nazar
dosto tum to dil baḌa rakhna
aage baḌhne ke hausle ke saath
vapsi ka bhi rasta rakhna
zindagi ke baḌe taqaze hain
ḳhud ko har-rang-ashna rakhna
shahr ko apna janna lekin
zaḳhm-e-avargi hara rakhna
bevafa sab na sab hain ahl-e-vafa
ye ta.assur mila-jula rakhna
nahin dushvar janna us ka
haan nazar men ada ada rakhna
Leave a Reply